Saturday, July 18, 2009

Poem ''Kuttay"......by Faiz A.Faiz

Dedicated to all Pakistanis

Ye galiyon ke awaara baykaar kuttay
ke bakhsha gaya jin ko Zoq-e-Gadayi

Zamanay ki Phitkaar sarmaya un ka
Jahan bhar ki dhutkar un ki kamaii



Na Aaram shab ko na, rahat saveray
Ghalazat mai ghar, naaliyon mai baseray

Jo bigrain to ek doosray se lara do
Zara ek roti ka tukra dikha do

Ye har ek ki thokrain khanay walay
Ye faqon se ukta k mar janay walay

Ye mazloom makhluq gar sir uthaye
to insaan sab sirkashi bhool jaye

Ye chaahain to dunya ko apna bna lein
Ye aaqaon ki hadiyaan tak chaba lein

Koi in ko ehsas-e-zillat dila day
koi in ki soyi hui dum hila day

0 comments:

Post a Comment